🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
🥀 *SULTANUL HIND,HAZRAT SYED MOINUDDEEN HASAN AJMERI SANJARI REHMATULLAHI ALEH*🥀
*🇮🇳 POST-12*
*SARKAR Garib nawaz ki Majusiyo Se mulaqaat*
Iran Ke Ek sehar me Majoosi Aur parsiyo ki bahut badhi agiyari Thi , Hazrat khuwaja garib nawaz Ka waha khaima Laga Aur Faqeer Se Kaha jaoo Aur waha Se tohdi Aag Le aaoo. Jab Aag MANGI gayi to Majoosi kehta hai, Ye humari Paak Aag hai, isme Se Muslamano Ko Nahi diya Ja sakta hai,Faqeer Louta Aur khuwaja Se kehne Laga Huzoor Wo to Aag Dene Ke liye tayyar nahi, Garib nawaz Ne Farmaya AcchA. Chalo Hum chalte hain khuwaja buzurg khud tashreef laaye Farmaya is se Aag humy nahi doge, Majoosi :nahi shab ye hamari puja ki Aag hai. Farmaya :to tum isko kab Se pujh rahe ho.. Kaha Hum Is ko Ek Hazaar baras Se poojh rahe hai, hamaray baap dada Ne Kabhi ise bujne Na diya, hamari agiyari me dead Hazaar Saal Ki Aag padhi hai, Farmaya :AcchA dead Hazaar Saal Se poojte aarahe ho. To khoob pehchanti Hogi tumhe, Kaha kis Tarah pehchanti Hogi, faramaya Agar Tum Iske andar Chale jaoo Aur so jaoo to Kya Ye jala Degi tumhe...
Jab Majoosi Aag pujne Ke Baad bhi, usme Jaane Ko tayyar Na Hua to Sehanshaye hindustan Sarkar garib nawaz Ne Farmaya,1500 baras ho gaye tumhe isko pujte huy,Aur Ye tumhe pehchan nahi paayi, Ye Apne pujariyo Ko fir bhi jala Degi, Aur Ye kehkar waha Par Ek paarsi aurat khadi Thi majusan. Is Ke pass Ek nanha sa baccha Tha. Aapne Kaha maayi ye baccha mujhe dena, Aur Ye kehkar bacceh Ko Le Liya, Aur Ayat padhkar BismILLAH padhte huy Hazrat khuwaja garib nawaz Ne pair Daal diya Aag me, Ab Wo aurat chillayi are tu Jaata hai to Jaa. Baccha waha Se has raha hai Keh raha tha Maa Aag Kaha hai yaha to mujhe Eysa Aaram aata hai Ke badeh miyan Ke kandeh Par Sar Rakh Kar so jaoo. Yaha to Phool khile huy hai,Yaha to baag khila Hua hai, khusbu aa rahi hai, bus Hazrat ki ye Karaamat dekhkar Wo Saare Majoosi Apne sardaar Ke saath Musalman ho gaye, Aur Ye Janab waala yaha se Ek tisre Khalifa hai inka bhi Mazaar ajmer Shareef me hai.... *MERE KHUWJA AAPKI GADAYI PE NAAZ HAI*
📚 *SULTANUL HIND Murattib SARKAR ASHARF MIYAN MAREHRAVI*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment