Skip to main content

1️⃣1️⃣Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz ‎رضي الله عنه ‏Sultan ul Hind ‎

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴


*🥀 Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه Sultan ul Hind 🥀*



 *LAST POST*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*
✏️ Hazrat Sayyed Shah Abul Hussein Ahmed e Noori رضي الله عنه (Peero Murshid Tajdar e Ahle Sunnat Sayyeddi Sarkaar Mufti e Aazam رضي الله عنه ) Hazrat Maulana Shabbir Badayuni ka bayan hai ki jabh Hazrat ke hukm se Hafiz Nazrullah Sahab woh darkhwaste lekar chale toh Maiñ bhi khamoshi se unke piche lag gaya. Jabh ghaati mein dakhil huwe toh Mere aur Nazrullah Sahab ke darmiyan chand qadmoñ ka faasla tha. Achanak Maiñe dekha ki Hafiz Nazrullah Sahab ka haath khali hai Maiñe unse pucha ki darkhwaste kaha hai?
Hafiz Sahab farmaye.
Aap mujhse mazak karte ho abhi aapne hi toh woh parchiya mujhse yeh keh kar le li ke Huzur ne talab ki hai. Iss jawab par Maiñ hairaan reh gaya Hafiz Sahab ne wapas aakar Hazrat Noorie Miyan ki khidmat mein saara wakiya bayan kar diya. Hazrat Noorie Miya ne farmaya ki wahi khadim e Aastana they jo iss soorat mein tumse parchiya le gaye. Phir farmaya ki yeh Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ka iss fakeer par Karam e Khaas hai warna mujhse behtar hazaaroñ iss darbar e aali waqar mein haazir hote hai magar yeh khaas nigaahe karam baaz khaas khuddam par hi hoti hai ke woh apne mureedoñ ki arziya Sarkaar Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke huzur pesh kare. Teesre din wo parchiya jawab ke saath hum sabko mili jo nawadirat mein se they.
*_Teri Rehmat Teri Ne'amat Par_*
*_Mera Dawa Hai Ahmed e Noori._*
*_Noor e Ahmed Mujhko Bhi Chamkade._*
*_Naam Tera Hai Ahmed e Noorie_*
*📚 Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No.373 - 374*


👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

मुई़नुद्दीन ह़सन सन्जरी या सिज्ज़ी

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 मुई़नुद्दीन ह़सन सन्जरी या सिज्ज़ी 🥀* _ह़ुज़ूर ख़्वाजा ग़रीब नवाज़, ख़्वाजा मुई़नुद्दीन चिश्ती अजमेरी رضی الله عنہ का इस्मे मुबारक *ह़सन* है, और आप का अस़्ल निस्बती लक़ब *“सिज्ज़ी”* है, न कि अ़वाम में राइज *“सन्ज़री”* - इसकी वजह येह है कि आप का तअ़ल्लुक़ इ़लाक़ह *“सिज्ज़”* से था, जो कि सिजिस्तान का मुख़्तस़र और सीस्तान का मुअ़र्रब है, और क़वाइ़दे अ़रबी के मुत़ाबिक़ इस की निस्बत *सिज्ज़ी* बनती है। मोअ़्तबर कुतुबे तारीख़ व तज़्किरह, जैसे मनाक़िबुल् ह़बीब, तहज़ीबुल् अस्मा वल् लुग़ात और मुअ़्जमुुल् बुलदान में स़राह़त के साथ सीन पर ज़ेर, जीम साकिन और आख़िर में नुक़्त़ह् दार ज़ (राए मुअ़ज्जमह) का ज़िक्र है। - *लिहाज़ा “सन्जरी” कहना या लिखना तह़क़ीक़ी त़ौर पर ग़लत़ है, और दुरुस्त “सिज्ज़ी” ही है।*_ *ह़ज़रत अ़ल्लामह क़ारी लुक़मान शाहिद स़ाह़ब क़िब्लह तह़रीराते लुक़मान के स़फ़्ह़ह नम्बर 523 पर लिखते हैं:* हिन्दुस्तान के मशहूर स़ूफ़ी बुज़ुर्ग ह़ज़रते ख़्वाजा मुई़नुद्दीन चिश्ती अजमेरी علیہ الرحمہ का नामे पाक ह़सन है, और अ़वाम व ख़वास़ आप को ह़सन सन्जरी कहते, लिखते हैं - आप...